GuidePedia

!--ad---!

manila : maghribi mumalik mein Talaq ki sharah hosh rubaa hai jabkay islami mumalik mein uski na pasandeedgi ki wajah se sharah nihayat kam hai magar duniya mein aik malik aisa bhi hai ke jahan qanoon Talaq ki ijazat hi nahi deta .

philippine is munfarid qanoon ka haamil wahid malik hai jahan shadi ho jaye to Talaq ka koi rasta baqi nahi rehta. darasal yeh qanoon paanch sadiyan qabal is malik par haspanwi esaion ke qabzay ki nishani hai .

catholic esaiyat ke mutabiq shadi saari Umar ke liye hoti hai lehaza Talaq ka sawal hi nahi peda hota. saari duniya mein Talaq ka koi nah koi tareeqa raaij ho chuka hai lekin philippine ab bhi Talaq ki ijazat nahi deta .

awam ko is qanoon ki wajah se be panah masail ka saamna bhi raha hai. aksar joron mein ikhtilafat ki wajah se alehadgi ho jati hai magar Talaq nah honay ki wajah se woh dobarah mazhabi tor par shadi nahi kar satke .

awam ke purzor mutalbe par 1991 main shadi ke khatmay ka qanoon muta-arif karwa diya gaya lekin Talaq ki ijazat nah di gayi is tabdeeli ka nateeja yeh hai ke shadi ke khtama ke baad agarchay dobarah shadi ki ja sakti hai lekin usay charch ki aashirbad haasil nahi hopati aur mazhabi lehaaz se usay gunah ka feal qarar diya jata hai .

philippine ki 80 feesad abadi catholic isaai y aur kal abadi mein se taqreeban nisf yeh chahti hai ke alehda ho jane walay joron ko Talaq ka haq diya jaye taakay woh dobarah shadi kar saken .
!--ad---!
 
Top