Berlin ) kisi pyare ki mout bilashuba aik azeem saneha hota hai jis ke dil o dimagh par gehray asraat muratab hotay hain lekin baaz auqaat yeh gham na qabil yaqeen soorat bhi ikhtiyar karsaktha hai .
german shehar myonkh mein aik aisa hi dilkharash waqea samnay aaya hai jahan aik khatoon ne apni murda maa ki laash ko dafnane ki bajaye apne bistar par hi rakh chorra aur phir aglay paanch saal is ke sath hi rehti, soti aur khati peeti rahi. ilaqay ke logon ki aik dosray se la-taluqi ka bhi yeh aalam tha ke 83 sala khatoon ke marnay ka kisi ko ilm nah howa. is ki 55 sala beti ne kisi ko bhi khabar nah ki aur maa ki laash ko apne kamray mein hi rakh liya. is ne 2009 main maa ke marnay se le kar chand din pehlay tak zindagi isi terhan jari rakhi jaisay woh maa ki mojoodgi mein jari rakhay hue thi bas farq yeh tha ke ab is ki maa har waqt is ke bistar par sakit haalat mein mojood thi. bil akhir jab humsaayon ko fikar hui ke kayi saal se barri amma ko nahi dekha to pooch gach shuru hui. khatoon ne kisi ko bhi ghar anay ki kabhi ijazat nah di thi aur jab woh apni walida ke mutaliq koi munasib jawab nah day saki to bil akhir police ko zabardasti ghar mein daakhil hokar talashi lena pari. murda khatoon ka jism Gul sarr chuka tha aur sirf hadion ka panjar baqi tha .
police ka khayaal hai ke murda khatoon ki beti sadme se zehni masail ka shikaar hogayi thi is liye usay dimaghi amraaz ke hospital bhaij diya gaya hai .

