
police ke mutabiq larki, is ki teen behnain aur maa baap ikathay samandar mein kode thay. maa aur teen betiyan halaak hogai lekin baap aur do betiyan bahtay bahtay mukhtalif maqamat par saahil tak pahonch gaye. mutasirah larki name be hosh haalat mein saahil ke qareeb pari thi ke do mallaahon ki is par nazar par gai. un darindon ko is ki qabil reham haalat par bhi taras nah aaya aur bajaye usay sahara dainay ke is ki asmat darri kar di. vijay ka kehna hai kECC TV rerecording ki madad se mujrimon ko girftar karliya gaya hai aur unhon ne aitraaf jurm bhi karliya hai. budqismat khandan aik mandir mein muqeem tha lekin adalti hukum par inhen bahar nikaal diya gaya. sir se chhat chhin jane ke baad saaray khandan ne khudkushi ke liye samandar mein chhalang lagadi thi .