
Nami dulhan saahil samandar par neelay aasman taley aik maahir photographer se tasaveer thi aur is ke dost ahbaab bhi ird gird mojood thay. isi douran aik ghurr sawaar ka idhar se guzar howa aur is ne dulhan ki khoshion mein shaamil honay ke liye peshkash ki ke woh is ke shandaar ghoray par baith kar tasaveer banava sakti hai. dulhan bhi is peshkash par barri khush hui aur aglay hi lamhay chhalang laga kar ghoray par sawaar hogayi lekin jounhi camera mean ne camera ghoray ki taraf kya, woh deewana waar uchhla aur dulhan howa mein ghumte hue sir ke bil saahil ki rait par aan giri. yeh sara manzar video ki soorat mein bhi mehfooz hogaya aur is ki tasaveer bhi banali gayeen jo baad mein dulhay aur mehmanon ko bhi dikhayi gayeen. is munfarid photo shot ne internet par bhi bohat maqboliat haasil karli hai .