
Islamabad ( monitoring desk ) saneha Peshawar ke baad national action plan committee aur all parties conference mein ahem faislay lainay ke baad Wazeer e Azam miyan Mohammad Nawaz shareef ne qoum ko un faislon ke hawalay se aetmaad mein lainay liye khusoosi khitaab kya. is khitaab mein jahan unhon ne mulki siyasi jamaaton ke qaideen ki tareef ki wahein woh army cheif general raheel shareef ki bhi tareef kiye baghair nah reh sakay. Wazeer e Azam ka kehna tha ke jahan siyasi jamaten malik se dehshat gardi ke khatmay ke liye prazm hain wahein hamari fouj ke sipah salaar army cheif general raheel shareef ne bhi hamaray is azm mein bharpoor sath dainay ka elaan kya hai. unhon ne general raheel shareef ke kirdaar ko sarahtay hue kaha ke army cheif ka dehshat gardi ke khilaaf par azm hona khush aaind baat hai .