
itna ahem faisla lainay se pehlay agar zail mein diye gaye chand sawalaat aur un ke jawabaat par thanday dil se ghhor kar n to shayad aap ko kaafi faida ho .
kya aap intehai gussa ki haalat mein aik dosray ko bardasht kar satke hain
shadi koi phoolon ki sej nahi aur baad mein kayi utaar charhao atay hain. kya aap dono is utaar charhao mein aik dosray ke sath acha برتاؤ karen ge. agar jawab haan mein hai to phir bohat hi achi baat hai lekin agar nahi to phir aik baar soch len .
kya halaat aap ko shadi par majboor kar rahay hain
aap ke tamam rishte daar aur doston ki shadi ho chuki hai aur ab aap ko yeh ehsas saata raha hai. yeh koi anhoni baat nahi lehaza pareshan hona choden aur jab theek lagey tab shadi karen kyunkay yeh shadi aap ne kisi ke liye nahi karni balkay yeh aap ki zindagi ka faisla hai .
aap apne sasural walon se kis terhan ka bartao karen ge
aap manen ya nahi lekin sasural aap ki shadi ko kamyaab bananay mein ahem kirdaar ada karta hai, agar un se taluqaat kharab to phir aap ke apne jevan saathi ke sath bhi khut patt ho gi. is baat ko yakeeni banayen ke aap un se aur woh aap se pyar se paish ayen ge .
tamam cheeze tay karlen
aksar shadi ke fawar baad masail peda ho jatay hain jis ki wajah shadi se qabal khil kar baat nahi karna hai, lehaza shadi se pehlay hi woh tamam mamlaat tay karlen jin par koi masla peda ho sakta hai .
kya aap imandari se chal satke hain
aap apne jevan saathi se yeh umeed rakhtay hain ke woh aap ke sath imandari se chalay lekin kya yahi rawayya aap mein mojood hai? agar aap imandari se chal satke hain to phir shadi mein der nah karen aur agar dil mein kahin laghzish hai to phir is faislay par nazar sani karen. .
kya aap is ke baghair zindah reh satke hain
agar is baat ka jawab' haan' mein hai to phir hargiz shadi mat karen .
sehat aur shadi
is baat ko yakeeni banayen ke aap ki ya aap ke jevan saathi ki sehat mein koi kharabi nah ho kyunkay agar aisa hai to phir apna ilaaj karwa len aur phir shadi jaisa ahem faisla karen .