GuidePedia

!--ad---!

Saudi media ke mutabiq mazhabi police ne dar-al-hakoomat mein aik Amrici khatoon ko hirasat mein le liya hai. tafseelaat ke mutabiq khatoon ki Umar 40 saal se zayed hai. ”sada“ akhbar ke mutabiq yeh khatoon aik gaari mein apne 28 sala Saudi aashiq se mulaqaat kar rahi thi ke mazhabi police ne jore ko pakar liya. bataya gaya hai ke jab Saudi shehri America mein zair taleem tha to is ki khatoon se dosti hogayi aur is ki dawat par hi woh Saudi arab aayi thi. hakkaam ka kehna hai ke maamla karwai ke liye mutaliqa hakkaam ko bhaij diya gaya hai aur kisi faislay tak jora qanoon ki tehweel mein hi rahay ga .

!--ad---!
 
Top