GuidePedia

!--ad---!
Saan Francisco: taraqqi Yafta daur jadeed mein Maney hamal golian aur injunction aam istemaal honay lagey hain lekin abhi bhi riwayati tareeqay barray pemanay par istemaal hotay hain. America mein bhi aik khatoon ne apni sala beti ko jadeed golion aur injunction se bachanay ke liye aik intehai mukhtalif tareeqa tajweez kya lekin is ka nateeja na qabil yaqeen bar aamad howa. larki ki maa ne usay samjhaya ke hamal se bachney ke liye woh chhootey size ka aik aalo jism mein daakhil karle aur beti ne is hadaayat par amal bhi karliya. chand din baad achanak usay pait mein dard ki shikayat peda hui to woh dr ke paas gayi. jab aik nurse ne is ka muaina kya to yeh dekh kar shashdar reh gayi ke aalo ne phootna shuru kardiya tha aur is ki jarrain phail rahi theen. fori tor par doctoron ne intehai ahthyat ke sath aalo ko jism se nikaalte ka kaam mukammal kya. larki ka kehna hai ke ab is ka dard bhi khatam hochuka hai aur woh behtar mehsoos kar rahi hai jabkay doctoron ne bataya ke ab is ko mazeed koi khatrah nahi hai. taham unhon ne beti ki jaan ko khatray mein daalnay par maa ko shadeed tanqeed ka nishana banaya .


!--ad---!
 
Top