GuidePedia

!--ad---!
New York ( ) aap ne aksar suna ho ga ke bachay Allah ki Nemat hain aur haal hi mein kiye gaye surway ne is baat ki tasdeeq kar di hai. America mein kiye gaye surway mein yeh baat samnay aayi hai ke woh log jin ke bachay hotay hain woh ziyada dil laga kar daftari kaam karte hain aur un ki kamyabi ke imkanaat un logon se ziyada hotay hain jin ke koi bachay nah hon. isi terhan surway mein yeh baat bhi samnay aayi hai ke jin walidain ke ziyada bachay hon woh ziyada mehnat karte hain .
Amrici riyasat misori mein kiye gaye surway min10 000 mard o khawateen se surway kya gaya aur yeh nataij samnay aaye ke jin khawateen ke aik se ziyada bachay hon woh zindagi mein intehai kamyaab rehti hain jabkay aik bachay wali khawateen nisbatan kam jabkay baghair bachay wali khawateen ko yi khaas kamyaab nahi hoten taham mardon ke liye yeh nataij halkay se mukhtalif thay aur yeh ilm howa ke jin mardon ke aik se ziyada bachay hon woh un mardon se ziyada kamyaab rehtay hain jin ka aik ya koi bacha nah ho .

!--ad---!
 
Top