GuidePedia

!--ad---!
Facebook ke zariye holnaak juraim ka tazkara aik arsa se ho raha hai aur taaza tareen waqea rumania mein paish agaya hai jahan aik darinda sift shakhs ne apni Facebook friend ko milnay ke bahanay bulaa kar asmat darri karne ke baad be dardi se qatal kardiya. tees sala aliza drain ki dosti kuch arsa qabal 29 sala naiko aaln se Facebook ke zariye hui thi. naiko ne jaali tasaveer aur jhooti baton se aliza ko yaqeen dilaya ke woh aik khobsorat nojawan hai aur is se shadeed mohabbat karta hai aur milna chahta hai .

bil akhir unhon ne aik qareebi restaurants mein milnay ka mansoobah banaya lekin naiko usay aik daur daraaz maqam par le gaya jahan pehlay is ki asmat darri ki aur phir aik taiz dhaar aahinii alay se is ki gardan par mutadid waar kiye. woh khatoon ko murda samajh kar pheink kar faraar hogaya lekin ittafaq se is ki kuch sansen baqi theen. aliza taqreeban do ghantay tak shadeed zakhmi haalat mein ringte hue aik sarrak tak pohanchi jahan aik musafir ne usay dekh kar police ko mutala kya. agarchay usay fori tor par air ambulance ke zariye hospital le jaya gaya magar woh jaan lewa zakhamo se jaanbar nah hosaki, Albata ghair mamooli himmat ka muzahira karte hue marnay se pehlay is ne hamla aawar ki shanakht btadi. police jab naiko ke ghar pohanchi to woh party mnarha tha. mujrim ko girftar karliya gaya hai aur darin inteha ki aur khawateen bhi samnay aagai hain jin ka kehna hai ke naiko ne un par jinsi hamla aur tashadud kya .
!--ad---!
 
Top