sardiyoon ki raton mein kambal mein dubak kar moong phali se lutaf andoz hona to aam si baat hai lekin kyaaap ko maloom hai sakht chilkay mein qaid yeh mukhtasir sa khushk mewa aap ke kitney masail hal karta hai .
moong phali aik taraf to calories aur tawanai ka khazana hai doosri janib yeh baghair wazan barhe cholesterol mein bhi kami karta hai .
moong phali khoon mein sugar ke tanasub ko barqarar rakhnay mein madad deti hai aur agar aap ki ghiza mein moong phali ya is se bana howa makhan shaamil hai to aap be fikar hokar meethi ashya se mustafeed ho saktay hain .
moong phali jism mein mojood faaltu calories ko istemaal krliti hai aur motapay ko kam karne mein be panah mufeed hai .
moong phali vitamin bi three ke khazane se malamaal hai aur is ka istimaal yad dasht ko tez tar hai aur zehni istedad berhata hai .
moong phali ghizaiyat se bharpoor hai aur is ka istemaal nah sirf yeh ke jism ki tawanai bahaal karta hai balkay bimarion ke khilaaf brpor qotِ mudafat faraham karta hai .

