
sania Mirza aqwam mutahidda ki pehli asiayi khatoon safeer muqarrar
!--ad---!
New York, nai Dehli ( online ) Bharti tennis star sania Mirza ko haal hi mein janoobi asiayi khittay ke liye aqwam mutahidda ki kher sgali safeer muqarrar kya gaya hai. unhein yeh aizaz bhi haasil howa hai ke woh aalmi idaray ki tareekh mein pehli asiayi khatoon hain jinhen khirsgali safeer ki hesiyat se muntakhib kya gaya hai. tanzeem ki janib se khawateen ke khilaaf tashadud ke khatmay ke aalmi din ke mauqa par 28 sala khilari sania Mirza ko janoobi asia ke liye aqwam mutahidda ki kher sgali safeer baraye khawateen muqarrar kya gaya. unhon ne kaha ke hamaray muashray mein khawateen khud ko dosray darjay ki shehri tasawwur karti hain aur baaz maqamat par larkiyon ke sath bura sulooq kya jata hai jo theek nahi hai .
!--ad---!
