
moscow : America ke sakht hareef malik roos ne pabandion ki soorat mein Obama intizamia ko warning dete hue kaha hai ke ab jo hum karen ge woh America ki' neendain ura' dega .
roos ke naib wazeer kharja sar gai Ryab Chervyhkov ne mutnabba kya hai ke agar America ne moscow par pabandiyan aed kee to hum bhi jawabi karwai karen ge .
unhon ne kaha ke taluqaat mein kasheedgi America ne peda ki hai, hamari jawabi karwai aisi hogi ke America pareshan hojaye ga .
unhon ne kaha ke jo kuch bhi ho raha hai is ka zimma daar America hai, hamari karwai se Obama intizamia ko bohat takleef puhanche gi .
wazeh rahay ke America aur roos ke taluqaat yokrayn ke tanaza ki wajah se sakht kasheeda hain, is silsilay mein washington moscow par pabandiyan bhi aed kar chuka hai .