
express news ke mutabiq Zaid Hamid guzashta mah apni ahliya ke hamrah omre ki adaigi ke liye Saudi arab gaye thay, jahan inhen Yemen ke tanaze par Saudi hukoomat ko shadeed tanqeed ka nishana bananay par girftar karkay un par muqadma chalaya gaya, adalat ne inhen qasoor waar qarar day kar 8 saal qaid aur aik hazaar koron ki saza sunadi .
wazeh rahay ke guzashta mah Daftar e Kharja ke tarjuman qaazi fazl Allah ne bhi un ki giraftari ki tasdeeq karte hue kaha tha ke safarti hakkaam Zaid Hamid tak rasai haasil karne ke liye Saudi arab ke mutaliqa hakkaam se musalsal raabtey mein hain .