GuidePedia

!--ad---!
Faisal abad ( monitoring desk ) Faisal abad mein phansi ke takhtay par charhne walay mujrimon ki mobayyana wasiyat samnay aagai hai jinhon ne apni tarbiyat karnay walon ko kostay hue kaha kay tarbiyat aisi ki gayi thi ke insaaniyat par zulm dhayin, mujrimon par khauf taari tha aur jism kanp rahay thay, aik ko to sahara day kar phansi ghaat tak layagya .
niji TV channel ke jail zaraye ke mutabiq mujrimon ne apne lawahiqeen ko Talqeen ki ke bachon ko aindah kisi bhi mashkook sar garmion ya garohoon se daur rakhen, kachay zehen ke logon ko sharpasandon ke hathon mein nah jane den, woh apne kiye par hay hain, Allah aur qoum se maffi ke talab gaar hain .

!--ad---!
 
Top